Sep 9, 2014

Aaj aisa kartay hain


Aaj aisa kartay hain

Be'sadaa lafzon main

Wajah-e-zindagi keh kar

Wasal ki zaroorat par

Phir se zor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Zikar wohi kartay hain

Naam aur detay hain

Zabat kay kinaaron se

Dard aan lipta hai

Toot'tay kinaaray ab

Dard aur detay hain

Aaj aisa kartay hain

Dard se ulajhtay hain

Zabt chor detay hain

Taar taar daaman ko

Khaar khaar raahon main

Ranjishain bhula kay hum

Aa kay jor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Hum nahin palat'tay hain

Raah mor detay hain

Sabz sabz mousam main

Laal laal aankhon kay

Khwaab ki ragon se hum

Khoon nichor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Yeh bhi kar guzartay hain

Khwaab tor detay hain

Aa kay ab duaon ko

Maatami ridaaon main

Phir se kar kay alwida

Moqa aur detay hain

Aaj aisa kartay hain

Dariya main utar'tay hain

Rab pe chor detay hain
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...