Sep 8, 2014

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do


Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do 

Main safaai koi doon ga na wazahat doon ga 

Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga 

Phir kabhi tum se na milnay ki zamanat doon ga 

Bas tumhain tark-e-marasam pe yeh zehmat doon ga 

Tum bhi be'chain to main bhi koi masroor nahin 

Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do


 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...