Abhi kuch nahin badla
Abhi rishon ne dekha hi nahin badla hua mousam
Yeh fasl-e-gul ussi tarah se hai shaadaab-o-taza'tar
Naye pattay toot kar girtay hain shaakhon se
Na phoolon kay lab-e-laleen main zardi hai
Abhi bhi rag-e-sehraa ki fiza-e-subha main thandak hai
Magar khoon kay alaa'o main Tamazeet mojzan hai
Sab bhi ird gird baithay
Zindagi ki garam saansain lay rahay hain
Abhi aankhon kay jungle main
Shana'saai kay jugnu jhil'milaatay hain
Abhi paani ne apna zai'qa badla nahin hai
Abhi kuch laaj baaqi hai
Abhi bhi nechii nazron main
Haya parwaan charti hai
Ragon main surkh lawa beh raha hai
No comments:
Post a Comment