Sep 10, 2014

Abhi to kuch dair lagay gi


Abhi to kuch dair lagay gi

Un ko waqat chaheya

Warna

Yeh zakham

Na'soor ban jayein gay

Phir ! kabhi munda'mil na payein gy

Aakhir ko thak kar

Zindagi haar jaye gi

Mout jeet jaye gi

Yeh zakham denay walay

Kiya jaanein

Kitna bara juram kar kay

Pur'sakoon hain

Zameer bhi malamaat nahin karta

YEh kaisa ehsaas paya hai

In be'hiss logon ne

Ilzaam dy kar

Baat ko badal detay hain

Phir !

Jhoot se mut'maein kartay hain  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...