Sep 2, 2014

Agar woh ab bhi hota soona ya anjaan nahin rehta


Hawa se dosti rakhon to ghar roshan nahin rehta
Chatton ko dekh loon to yaad phir sawan nahin rehta 

ghreebon ki yeh basti hai , kahan se shokiyan laaon 
Yahaan bachay to rehtay hain , magar bachpan nahin rehta 

Jo tera mera rishta hai , faqat dil ki kahaani hai 
Jahan par kachay dhaagay hon , wahan bandhan nahin rehta 

Yahan to kuch bhi mumkin hai keh yeh raah-e-mohabbat hai 
Wahan bhi jeena parta hai jahan jeewan nahin rehta 

Kahan kis kis se uljho gay , kaha na raah-e-ulfat hai 
Yahan kaanton ne rehna hai , yahan daaman nahin rehta 

Khlaish anjaan ho to tere gham se jor deta hoon 
Koi ibhaam aisay main paas-e-uljhan nahin rehta 

Yahan shajar ik tha , kisi ki yaad thi us main 
Agar woh ab bhi hota soona ya anjaan nahin rehta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...