Sep 7, 2014

Apnay pan ka ehsaas woh jab mujhay dilaata hai


Apnay pan ka ehsaas woh jab mujhay dilaata hai

Ek ajeeb si dor se mujhay apnay aur qareeb lay aata hai

KAbhi kabhi to lagti hai us ki dooriyan hi achi mujhay

Paas aa kar to mujhay aur bhi tarpaata hai

Chup reh kay bhi youn to kai baatain keh jaata hai

Par izhaar kar kay un baaton ko mujhay hi khamosh kar jaata hai

Barson ki pehchaan hai phir bhi anjaan hoon so kay pehlu se

Her baar woh mujhay ek naye rang main nazar aata hai

JAb raaz-e-dil karta hai biyaan to main chup si ho jaati hoon

Chupkay se apni baaton talay mujhay apni duniya main lay jaata hai

Kabhi naram to kabhi sakhat kabhi door kabhi paas rehta hai

Her roop main mujh ko to bas wohi ik bhaata hai

Kabhi anjaan kabhi begaana kabhi apna kabhi jaana'pehchaan aban kay

Dheeray dheeray se holay holay se rooh main utar to jaata hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...