Sep 22, 2014

Apni tanhaiyon se poocha hai


Apni tanhaiyon se poocha hai

Shab-e-hijraan se baat kar li hai

Meray andar ki sehmi khamoshi

Meray baahir ka hansta chehra bhi

Raat kay san'sanaatay lamhay bhi

Din ka dasta hua ujaala bhi

Zabt ka toota yeh bandhan bhi

Sabar ka choot'ta yeh daaman bhi

Us ki yaadain bhi kuch ishaaron main bhi

Mujh ko majboor kar rahi hain sab

Ayo us kay paas chaltay hain

US se kehtay hain  keh kuch dawa kar day

Apni fitrat ko chor kar ik pal

koi wada to woh wafa kar dain

In ki baaton se kuch nahin ho ga

Aakhri faisal to dil ka hai

Dil yeh kehta hai us se milnay se

Apni tanhaiyaan hi achi hain

Ab akelay main lag gaya hai dil

Us se milnay hamain nahin jana

Us ki baatain udaas kar dain gi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...