Sep 9, 2014

Arzoo kay lamhon main hum bhi sur'khru huye


Raat kay andheray hain , khwaab bajti aankhon kay 
Her taraf se wehmay hain , soch-e-aztraab kay 
Phir junoon-e-dasht main be'rad nigahon par 
Surajon kay shaher se bagawaton ka silsala
Qaafla rawaan da'waan gard se atta hua 
Phir isi qabeelay se dushmni kay marhalay 
Tamaam din thaka hua 
Dhool se ataa hua 
Her taraf nigahon par tairagi kay gum'shuda 
Manzaron pe chaa rahay thay 
Dushmano kay dab'dby 
Hum udaas tehray thay , aarzo kay sehraa main 
Zeest aftaab tha , aur hasraton kay saaye thay 
Dushmano ka jashan tha zindagi kay maqtal main 
Arzoo kay lamhon main hum bhi sur'khru huye 
Samnay tha karbala aur hum bhi ru'ba'ru thay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...