Sep 29, 2014

Baarishon kay mousam main dil ki sar'zameeno par




Baarishon kay mousam main

Dil ki sar'zameeno par

Gard kiyon bikharti hai

IS tarah kay mousam main phool kiyon nahin khiltay

Log kiyon nahin miltay

Kiyon faqat yeh tanhai saath saath rehti hai

Kiyon bicharnay walon ki yaad saath rehti hai

Itni tez baarish se dil kay aainay par se

Ashk kiyon nahin dhultay

Zakham kiyon nahin mit'tay

Neend kiyon nahin aati

Baarishon kay mousam main aankhain kiyon barasti hain

Ashk kiyon nahinb thamtay

Subha kiyon nahin hoti

Raat kiyon nahin dhalti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...