Sep 15, 2014

Bhout mumkin tha


Bhout mumkin tha

Meray paaon , meri zeest kay

Kaantay nikal jaatay

Bhout mumkin tha

Meri raah kay pathar pighal jaatay

Jo dewaarain meray raastay main hayal thein

Meray aagay se hatt jatein

Agar tum aankh utha kay dekh letay

Koh'saaron ki taraf aik pal

Chahatein ik tumhari jumbish-e-abroo se kat jaatein

Bhout mumkin tha angaaron bhari is zindagi main

Tumharay paaon kay ujlay kanwal khiltay

Rafaqat ki sunehri jheel main

Dono kay aks-e-zufishaan hiltay

Bas ik khwaab-e-musalsal ki fiza rehti

Hamari rooh kab hum se khafa rehti

Yeh sab kuch ain mumkin tha

Agar tum mujh ko mil jaatay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...