Sep 19, 2014

Koi aisa harf na mil saka


Mujhay roz-o-shab ki kitaab main
Koi aisa harf na mil saka
Jissay misl-e-gul ka khitaab doon
Jissay chandani ki si taab doon
Jissay dhoond kar , jissay khoj kar
Rukh-e-asmaan pe saja bhi doon
Meray khoon-e-dil ki nigarishain
Meri rooh tak kay fishaar bhi 
Yahan ilm-o-fun ki dukaan par 
Baray sastay daamon se bik gaye
Mujhay tor kar mijhay phor kar 
Meray doston ne jala diya 
Raah-e-zindagi kay ghubaar main 
Meri raakh tak ko urra diya 
Mujhay phir bhi koi gila nahin 
Jo mila nahin , so mila nahin 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...