Chahat ka rang tha na wafa ki lakeer
thi
Qaatil kay haath main to hina ki
lakeer thi
Khush hoon keh waqat-e-qatal mera
rang surkh tha
Mere labon pe harf-e-dua ki lakeer
thi
Main karwaan ki raah samjhta raha
jissay
Sehra ki rait pe woh hawa ki lakeer
thi
Sooraj ko jis ne shab ky andheron
main gum kiya
Mouj-e-shafaq na thi woh qaza ki
lakeer thi
Guzra hai shab ko dasht se shayed woh
parda daar
Her naqsh-e-paa kay saath rida ki
lakeer thi
Kal us ka khat mila keh sheefa wafa
ka tha
Mohsin her satar haya ki lakeer thi
No comments:
Post a Comment