Wada hai mera jana , tera saath nibhaaon ga
Chahay paray mar jana , tera saath nibhaaon ga
Haathon main haath liye ae humdam-e-dareena
Ban kar tera parwana , tera saath nibhaaon ga
Ruswai to hoti hai ishq-o-mohabbat main lakin
Na kar khouf , hoon tera dewaana , tera saath nibhaaon ga
Baaton hi baaton main , shairon ki surat main
Itna hai batlaana , tera saath nibhaaon ga
Ishq mera saadiq hai , kar doon ga yeh saabit
Ban kay main parwana , tera saath nibhaaon ga
Qoul-o-qaraar mere jhootay hargiz nahin , meri jana
Tum ko hai yeh samjha , tera saath nibhaaon ga
No comments:
Post a Comment