Sep 27, 2014

Chalo hum tum dua kar lain


logo
Gunnah saray zameen se aasmaan tak
Phail jayein aur
Falak ko dain azaabon ki agar dawat 
To aisay main nadamat ka koi qatra 
Azaabon kay waseeh dariya kay rukh ko 
Mor deta hai , junoon ko tor deta hai 
Agar yeh haath uth jayein dua ko to 
Gunaahon kay pahaaron ko mitta daalain 
Zameen-o-aasmaan ko yeh hilla daalain 
Chalo hum tum dua kar lain 
Khuda se iltaja kar lain 
Khaloos-e-dil se maangain to 
Wafaein radd nahin hotein 
Duaein radd nahin hotein 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...