Andesha-e-zawaal se aagay nahin gaya 
Dekha main kis kamaal se aagay nahin gaya 
Shayed mera khayal haqeeqat shnaas tha 
Yehni teray jamaal se aagay nahin gaya
Amaal ka hisaab woh lenay ko aye thay 
Lakin main qabal-o-qaal se aagay nahin gaya 
Duniya badal gayi , magar aya nahin jawaab 
Main aisay ik sawaal se aagay nahin gaya 
Bas door door hi se behalta raha yeh dil
Janay kis ehtamaal se aagay nahin gaya 
Dukh sukh main kiya woh saath nibhaata jo umar bhar 
Apni hi dekh bhaal se aagay nahin gaya  
 
No comments:
Post a Comment