Sep 13, 2014

Dhund chayi hui hai jheelon par


Dhund chayi hui hai jheelon par

Urr rahay hain prinday teelon par

Sab ka rukh hai nashaiman ki taraf

Bastiyon ki taraf , banoon ki taraf

Apnay gal'lon ko lay kar charwahay

Sarhadi bastiyon main jaa ponchay

Dil-e-na'kaam , main kahan jaaon

Ajnabi shaam , main kahan jaaon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...