Fikar-e-farda
Aaj ka din keh khatam nahin ho paata abhi
Agalay din ki fikar hamain lag jaati hai
Phir hum yeh foran teh karnay lagtay hain
Kon kon se kaam hamain kal karna hain
Kis se kiya kuch lena hai ,,, aur
Kis ko kiya kuch dena hai
Kis se milnay jaana hai ... aur
Kis ko paas bulaan ahai
Kis se qatah taaluq karna hai
Kis se ehad nibhaana hai
Kis se dhoka khaana hai
Is kay ilawaa aur kon se kaam hamain nimtaana hain
Yak dam zehan main phir ik aisi soch bhi karwat leti hai
Kal jab ho gi
Kal ka suraj
APnay saath main janay kiya
Sandesa laye
YA khushiyon ki dhoop bikharay
Ya chehron ka rang jalaye
Ankhon ankhon neer bahaye
Dukh ka dariya aaray aye
Ho sakta hai kaam hamara
Us ka run sab ruk jaye
Phir yeh khud se keh kar hum ne
Chor diya , keh jo bhi ha ga
Apni is qismat main likha
Woh hi ho ga
No comments:
Post a Comment