Sep 23, 2014

Gali kay us konay pe kharri woh akeli si shaam


Gali kay us konay pe kharri woh akeli si shaam

Kitni tanha hai woh

Sisakti hui si shaam

Kitnay aanchal huye be'zameen-o-asmaan

Janay kaisay layi hai yeh paiyaam

Her ghar main ajab hai maatam bicha

Aankhon ka ho jaisay koi toofan utha

Yeh kaandhon pe kis kay hain jisam dharay

Ajab jin kay chehron pe hain

Fasaanay likhye

Poochtay hain yeh nanhay haath hum se

Jin talwaaron se katay hain yeh galay

Rehti hain jin main yeh talwaarain sabhi

Batao kahan rakhi hai aisi niyaam

Dam ghutnay laga hai

Is shaam-e-khoon ashaam se

Chalo ab manayein is

Jalti

Machalti

Bilakti

rooti

Hui shaam ko

Aanso'on se bujhain

Aatish-e-aalam ko 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...