Sep 6, 2014

Gham-e-shikwa-e-haal tak na aya


Gham-e-shikwa-e-haal tak na aya

Is ka khyaal tak na aya

Aaqaaon ki mumlikat thi duniya

Suraj ko zawaal tak na aya

Toota hoon kuch is tarah achanak

Pehlay koi baal tak na aya

Kuch aisi thakan ki neend ayi

Khwaabon ka khyaal tak na aya

Youn khatam kiya fasana hum ne

Lehjay main malaal tak na aya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...