Gham-e-firaaq se pehlay , shab-e-wisaal kay baad
HAi aur kiya jissay dekhay tere jamaal kay baad
Tamaam umar kati intizaar main apni
Koi bhi dukh na mila phir tere malaal kay baad
Jawaab mil gaya mujhay teri khamoshi se
Tumharay lafaz kiyon khoye mere sawaal kay baad
Tumharay mere taaluq pe youn khizaan chali
Kabhi urooj nahin hai jissay zawaal kay baad
Main teri yaad kay charchay ko dhaamp doon lakin
Bachaye ga kiya meri jholi main is kamaal kay baad
Woh ab ki baar mila is qadar takaluf se
Kiya kuch bhi na pooch paya main us se haal kay baad
No comments:
Post a Comment