Sep 7, 2014

Halaat ne yeh lutaf uthaanay nahin diya


Un ko tasawuraat main aanay nahin diya 
Halaat ne yeh lutaf uthaanay nahin diya 

Gham mere saath saath bhout door tak gaya 
Shikwa magar zubaan pe aanay nahin diya 

Dastaar gir gayi to giray sar to bach gaya 
Kuch be'hisson ko zarf khuda ne nahin diya 

Tha kitna dil shikan teri yaadon ka marhala 
Aankhon ko phir bhi ashk bahanay nahin diya 

Majbooriyon ne paaon main zanjeer daal di 
Hum ne khushi se aap ko janay nahin diya 

MAin khud hi apni raah ka pathar bana raha 
Aisa nahin saath dua ne nahin diya 

Shahid meri sadaa dilon ne kabhi mujhay 
Aaina dooston ko dikhaanay nahin diya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...