Hansaya gaya hai , rulaya gaya hai
Hamain her tarah azmaya gaya hai
Smaa'at kiya jaa sakta hai kisi se
Na hum se gham-e-dil sunaya gaya
Bhala aur izzat afzaai kiya ho gi
Bharri anjuman se uthaya gaya hai
Naye rind issay qabil-e-deed samjhain
Hamara jo huliya banaya gaya hai
Mussarat ka ik ik pal zindagi main
Bari khush dili se ganwaya gaya hai
Bachaao bikharnay se yeh aashiyana
Bhout mushkilon se banaya gaya hai
Shaoor, aisay tashreef laye hain goya
Inhain minaton se laya gaya hai
No comments:
Post a Comment