Sep 6, 2014

Hamaray baad chali rasm-e-dosti keh nahin


Hamaray baad chali rasm-e-dosti keh nahin

Hawa ki zad main koi shamma phir jali keh nahin

Bichar kay jab bhi mile mujh se , poochta hai woh shakhs

Keh in dino koi taza ghazal huyi keh nahin

Suna hai aam thi kal shab ko chaand ki bakhshish

Bujhay gharon main bhi urti hai chaandni keh nahin

Nikal kay jissay hawa apna dard awara

Kisi kay dil main woh mehfil bhi phir saji keh nahin

Woh raah guzar jo andheron main saans leti thi

Tumharay naqsh-e-qadam se chamak uthi keh nahin

Diyaar-e-hijar se aye ho kuch kaho "Mohsin"


Keh shaam-e-gham bhi kisi mor par mili keh nahin  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...