Hayaat ka yeh haseen manzir
Kisi sahaaray kharra hai dekho 
Hayaat ka yeh haseen manzir
LAga jo taisha , Girray ga aisa
JAhan bhi dekho gay 
Gard ho gi 
Dhuawain ki maanind
Hawa main urrti 
Yeh kehti ho gi 
MAin bhi thi ab tak , haseen manzir
Mujhay bhi jeenay ki aarzoo thi
Magar tha urnay ka shouq ziada 
Hawa main urrana tha , urr rahi hoon 
Saharay lakin kiyon hil rahay hain 
Zameen-o-akaash kiyon mil rahay hain 
Khayaal haqeeqat main dhal rahay hain 
Yahan pe meri bisaat kiya hai 
Mera sahara-e-hayaat kiya hai 
Teri dua main , teri dua hai 
Wagarna meri bisaat kiya hai  
 
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment