Sep 10, 2014

Inkaar kay moti , kabhi iqraar kay moti


Inkaar kay moti , kabhi iqraar kay moti

Is dil ne proye hain , teray pyaar kay moti

Karta tha bhout dair se woh in ka taqaza

Honton se meray bikhray hain izhaar kay moti

Kartay hain asar dil pe bhout jald woh aksar

Jharray zabano se jo guftaar kay moti

Guzri hoon kai baar main gulshan ki fiza se

Yaadon main saja rakhye hain meh'kaar kay moti

Lay ayi hoon bazaar main tasneef main apni

Biktay hain yahan roz hi funkaar kay moti

IS waastay gehra hai kitaabon se taaluq

Chunti hoon shab-o-roz main afkaar kay moti

Her haal main laazim hai karain in ki hifaazat

Ta'binda sada rehtay hain kirdaar kay moti

Mehnat se traasha hai inhain main ne hameesha

HAin jaan ase pyaaray mujhay ashaar kay moti

Ab kon bhala gul se unhain cheen sakay ga

Jab dil main chupa rakaye hain dil'daar kay moti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...