Aaina hairaan hai aur aasmaan ronay ko hai
Is tamasha gaah main ab aur kiya honay ko hai
Kashtagaan-e-dard ko jaan ki amaan kaisay milay
Zindagi ki her dua apna asar khonay ko hai
Neend kay maaray kisi sapnay ki khwaish kiya karain
Her gharri mehsoos hota hai sehar honay ko hai
Kis ki naqsh-e-paa ko samjhaein apni manzil ka nishaan
Jhaag uraati mouj aa kar her nishaan dhonay ko hai
Kaash yeh koi sitara yahan khoye jugnoo kahay
Her andhera keh raha hai roshni honay ko hai
Ae hawa-e-be'yaqeeni gul na kar ghar kay chragh
Chand lamhon ko tehar jaa kuch na kuch honay ko hai
No comments:
Post a Comment