Dil ko sehra keejiye , aankhon ka dariya keejiye
Is tarah bhi ik din apna tamaasha keejiye
Mouj-e-sarsar ka koi jhonka uraa lay jaye ga
Rait ki dewaar par kab tak bhrosa keejiye
Ik zara si baat se sheeshay main aa jata hai baal
Baat main talkhi sahi , ooncha na bola keejiye
Waqat ki rag-e-rawaan se naqsh saray mit gaye
Apnay qadmon ka nishaan mur kar bhi dekha keejiye
Kuch tumharay zakham hain , kuch apni mehroomi kay zakham
Kis ko pinhaan keejiye , kis ko haveeda keejiye
Zindagi kab tak hareef-e-shorash-e-dariya rahay
Is safeenay ko kisi din gharq-e-dariya keejiye
No comments:
Post a Comment