Sep 14, 2014

Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain


Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain

Khail nahin hai in par chalna

Saath nibhaana bhout khathan hai

Do pal ki hai khushi ki saa'at

Sadiyon phir be'chaini hai

Chand hi hain qurbat kay lamhay

Phir sunsaan si raatain hain

Sooraj kay neechay mom ka ghar

KAha nahin tha pagal'pan hai

Kaha nahin tha

Aag se mat khailo tum janaa

Jal jaao gi

Sab kuch tum se kaha tha main ne

Her ek baat batai thi

Achi buri her prem kahaani

Main ne tumhain sunaai thi

Lakin zidi larki tum ne

Meri koi baat nahin maani

Wohi kiya na tum ne aakhir

Jis ki apni dil main thaani

Pagal larki

Tez hawa main diya jalaya tha jo tum ne

Aakhir kab tak jalta rehta ?

Hawa se lartay lartay ek din

Bujh hi gaya woh diya tumhara

Lakin tum ko khabar nahin hai

Jis din se woh diya bujha hai

Us din se "Main" sulag raha hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...