Jaanta hai woh magar
Dard be'kraan hai
Dil main jo rawaan hai
Jaanta hai woh magar
Us ko yeh gumaan hai
Baarishon kay aanay tak
Zabt kar hi jaaon ga
Jis tarah bhi ban para
HAnson ga , muskuraaon ga
Mujh pe hai bhout yaqeen
Us ko yeh kabar nahin
Ashk to azaad hain
Dil pe to jabar nahin
Baarish kay aanay tak
Ashk ruk na payein gay
Jaanta hoon zabt kay
Band toot jayein gay
Phir bhi yeh khyaal hai
Us ka maan rakhna hai
Ashk na woh dekh lay
Yeh dihaan rakhna hai
Surkh , nam aankahin liye
Dekhta hoon aasmaan
Aur sawaal karta hoon
Ae khuda-e-do jahan
Baarishain kab ayein gi
Baarishain kab ayein gi
No comments:
Post a Comment