Sep 29, 2014

Jaantay sab hain mujhay , pehchaanta koi nahin


Aashnaa hotay huye bhi aashna koi nahin 
Jaantay sab hain mujhay , pehchaanta koi nahin 

Aik tanha meray zimmay kiyon hai kaar-e-ehtajaaj 
Bolna sab jaantay hain , bolta koi nahin 

Meh'kashi ki bhi saza hai , khud khushi ki bhi saza
Kon kis mushkil main hai yeh dekhta koi nahin 

Mukhtalif lafzon main yeh hai ab mizaaj-e-dosti 
Raabta sab se hai , lakin waasta koi nahin 

Hum ne khud paida kiye hain zindagi main maslay 
Warna sachi baat yeh hai masla koi nahin 

Khud kalaami thi jissay main guftagoo samjha kiya 
Main akela tha , yahaan aya gaya koi nahin 

Hussan ho na'meharbaan ya ishq khud be'mehar ho 
Haar dono ki hai is main jeet'tata koi nahin 

Aik pathar aaj meri aankh par aa kar laga 
Main ghalat samjha , mujhay pehchaanta koi nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...