Jo kuch dekha jo socha wohi tehreer kar jayein
Jo kaaghaz apnay hissay ka hai woh kaaghaz to bhar jayein
Nashay main neend kay taaray bhi ek doojay pe girtay hain
Thakan raaston ki kehti hai chalo ab apnay ghar jayein
Kuch aisi be'hisi ki dhund se phaili hai aankhon main
Hamari sooratein dekhain to aainay bhi dar jayein
Na himmat hai ganim-e-waqat se aankhain milaanay ki
Na dil main hosla itna keh matti main urr jayein
Gul-e-umeed ki surat tere baagon main rehtay hain
Koi mousam hamain bhi dy keh apni baat kar jayein
Diyaar-e-dasht main rag-e-rawaan jin ko banaati hai
Bata ae manzil-e-hasti keh woh raastay kidhar jayein
Agar bakhshish milay amjad to us khushboo se behtar hai
Keh is be'faiz gulshan se bandhi mutthi guzar jayein
No comments:
Post a Comment