Sep 6, 2014

Keh is kay aangan main phool par aik titli mari hui hai


Dareechay se jhaankti woh larki ajeeb dukh se bharrihua hai 

Keh is kay aangan main phool par aik titli mari hui hai 

Kabhi azaano main khoi khoi , kabhi nimaazon main roi roi 

Woh aisay duniya ko dekhti hai keh jaisay is se dari hui hai 

Dard se mehki mehki saansain , wazeefa parhti hui woh aankhain 

Keh woh shamma-e-umeed in main kai baras se dharri hui hai 

Woh dukh ki chadar main lipti lipti , woh kaalay kapron main simti simti 

Mohabbat us ne kisi se shayed meri tarah hi kari hui hai 

Baray zamano kay baad barsi hain meri aankhain kisi ki khatar 

Baray zamano kay baad dil ki zameen phir se hari hui hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...