Sep 15, 2014

Khuda janay tumharay zehan main kiya hai


Khuda janay tumharay zehan main kiya hai

Meray baaray main tum kiya sochti ho , keh nahin sakta

Magar main is liye milnay se katraata hoon tum se

Keh woh baatain jo hum likhtay hain

Apnay khatt main chahat se

Woh baatain aur baatain hain

Woh baatain aisi baatain hain

BAs baatain hi baatain hain

Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se

Haqeeqat mukhtalif hoti nahin alfaaz likhnay se

Zubaani guftagoo se baahami izhaar-o-arz-e-haal karnay se

Bhout si aisi baatain hain

Jinhain sunnanay ko kaano ki nahin aankhon ki haajat hai

Agar tum mujh se milnay par bhout israar karti ho

To phir aik shart hai

Aik lafaz bhi kehna na honton se

Faqat aankhon se aankhain guftagoo karti hain

Khalaa apnay sawalon ka

In aankhon ki sadaein khud-ba-khud barhti rahain gi

Agar milna zaroori hai

To choti si meri yeh shart apnay zehan main rakhna 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...