Sep 6, 2014

Koi shajar koi dewaar chahata tha :Jamaal"


Jo lamha raigaan guzara wohi to kaam ka tha 
Behar nafas yeh ziyaan umar-e-na'tamaam ka tha 

Yeh kiya hua keh bharray aasman kay aangan se 
Bichar gaya jo sitaara hamaray naam ka tha 

Barhaa kay us se raah-o-rasam ab yeh sochtay hain 
Wohi bhout tha jo rishta dua salaam ka tha 

Her aik kay bas main kahan tha keh so rahay sar-e-shaam 
YEh kaam bhi tere awaar'gaan-e-shaam ka tha 

Koi shajar koi dewaar chahata tha :Jamaal"
Safar main log thay , jhagra magar qayaam ka tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...