Sep 3, 2014

Koi to ho jo meri soch ko kitaab kare



Koi to ho jo meri soch ko kitaab kare 
Aur apnay lafaz mere naam intisaab kare 

AMin apni chaandni raaton main us kay geet likhon 
Woh mere dard kay sehraa ko phir chinaab kare 

Main us se pyaar karon aur be'kinaar karon 
Woh mujh pe zulam kare aur be'hisaab kare 

Main dhoop ban kay nikharta rahoon bikharta rahoon 
Woh mujh ko khud main smaitay ti aftaab karon 

Ab is tarah ka saathi kab mile ga "FaraZ"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...