Sep 24, 2014

Lafz gum ho jaatay hain youn aksar janaa


Lafz gum ho jaatay hain youn aksar janaa

Jaisay sagar main chaa jaye sakoot achanak

Jaisay mouj-e-rawaan tham jaye yak'dam

Jaisay koi chup ho jaye kuch kehtay kehtay

Lafz to lafz hain jaan-e-bahaaran

Teray hon ya meray

Chalo aaj in munjamind jazbon ko kuch lafz ata karain

Lafz aisay jo pighla dain un'dekhi zanjeeron ko

Aur

Gira dain dewaar

Chalo ab kay jana kuch aisa karain

Keh

Yeh lafz gum hi na hua karain

Chalo apnay ehad-o-paimaan ko

Yeh lafz ata karain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...