Leh'lahaati shaakh par apna thikaana bhool ja
Jo guzra sehan-e-gulshan main zamana bhool ja
Jung ka ilaan kar day baagh'baano kay khilaaf
Nazar-e-aatish jo hua woh ashiyaana bhool ja
Sab ana'dil gungunaatay hain bahaaron main jaisay
Yeh zamana kehta hai to woh traana bhool ja
Her sana gar ki baghal main hai churri ae hum'nawaaz
Dosti to ehal-e-gulshan se nibahana bhool ja
HAq praston kay huye hain sar qalam jis dour main
Her koi kehta hai "Raahi" woh zamana bhool ja
No comments:
Post a Comment