Raatain sachi hain , din jhootay hain
Chahye tum meri beenai khurach daalo
Phir bhi main apnay khwaab nahin choron ga
In ki lazat aur aziyat se main apna ehad nahin toron ga
Tez nazar na'beenaon ki aabadi main
Kiya main apnay dihaan ki yeh ponjhi bhi ganwa doon
Haan meray khwaabon ko tumhari sohbaton ki
sard aur saya goon tabeer
In sohbaton en shaam kay haathon
Ab tak jitnay suraj baichay
Woh sab aik barfaani bhaap ki
Chamkeeli aur chakar khaati golaai thay
So meray khwabon ki raatain
Jalti aur dehakti raatain
Aisi yak'basta tabeer kay her din se
achi hain aur sachi bhi hain
Jis main dhundla chakar khaata
Chamkeela pan 6 atraaf ka rog bana hai
Meray andheray bhi sachay hain
Aur tumharay rog ujaalay bhi jhootay hain
Raatain sachi , din jhootay
Jab tak din jhootay hain jab tak
Raatain sehna , aur apnay khwaabon main rehna
Khwaabon ko bahaanay wale
Din kay ujaalay se achay hain
Haan main beh'kaaon ki dhund se urron ga
Chahye tum meri beenai khurach daalo
Phir bhi main apnay khwaab nahin choron ga
Apna ehad nahin toron ga
YAhi to bas mera sab kuch hai
Maah-o-saal kay ghaarat gar se meri thani hai
Meri jaan par aan bani hai
Chaaye kuch ho meri aakhri saans talak ab chahye kuch ho
No comments:
Post a Comment