Sep 22, 2014

Main aur neela asmaan


Yeh kaisa alwida geet gaya december ne 
Jaatay jaatay nargasi mousam ko rulaya 
Kahin pe lala zaar banaya 
Gulaab moti chambaili se
Tulip ki lariyon se goond kar 
Pyaar kar rangon se seench kar 
Pariyon si khwaishon kay jhurmat main 
Hamaray labon pe
Duaaon kay alwida kalamaat
Tum hamesha raho meray saath 
Mar'mareen hathailiyon pe nayi
Umeedon kay roshan chragh 
Sadiyon se chaand ki devi
Kaat rahi hai charkha
Narm narm gaalon se
Prem ki dhanak se dhunak rahi hai 
Her aanay wali subha ko 
Rab ne diya hai sab ko yahi paighaam 
Ajj jaati december ki shaam 
Insaaniyat kay naam
Mohabbat azaadi shaanti amaan hai 
Sab ki jaan 
Nafraton ko kar do tamaam 
Choti si hasti hai yeh 
Pyaar se basti hai yeh
Hamesha se hai 
Hamesha rahain gay 
Main aur neela asmaan 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...