Sep 3, 2014

Main bhula chuka sabhi waastay, jo thay manzalon kay hasool main



Main bhula chuka sabhi waastay, jo thay manzalon kay hasool main 
Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karoon 

Jo pukaarta tha her aik gharri jo jurra tha dil se lari lari 
Koi shakhs aisa agar kabhi mujhay bhool jaye to kiya karoon 

Kabhi saath tha jo keh du'ba'du tha hamesha mere hi ru'ba'ru
Jo barhaa raha tha qadam meray wohi to dag'maga jaye to kiya karoon 

Woh chragh-e-dar jo jala kabhi main bujhaa chuka hoon magar kabhi 
Keh bujha huwa bhi dia agar mera ghar jalaye to kiya karoon 

Main ne aks tak to mitta diye sabhi aainay bhi chuppa diye
Tujhay dekhta koi door se mere paas aye to kiya kroon 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...