Sep 15, 2014

MAin kiya karoon ga


Chalay jo ho to bata kay jaao

Keh kitni shaamain udaas aankhon main kaati hain ?
Keh kitni subhain akelay pan main guzaari hain ?
Bata kay jaao keh kitnay suraj azaab raaston ko dekhna hai 
Keh kitnay mahtaab sard raaton ki wusa'aton se nikaalnay hain ?

Bata kay jaao

Keh chaand raaton main waqat kaisay guzarna hai ?
Khamosh lamhon main tujh ko kitna pukaarna hai 

Bata kay jaao

Keh kitnay lamhay shumaar karnay hain hijar ki raaton kay 
Keh kitnay mousam aik aik kar kay judaiyon main guzaarnay hain 

Bata kay jaao

Keh panchiyon ne akelay pan ka sabab jo poocha 
To kiya kahoon ga 

Kisi ne rastay main rok kar jo mujh se poocha 
Keh pichlay mousam main saye saye jo ajnabi tha

Kahan gaya hai 
To kiya kahoon ga 

Bata kay jaao 

Keh kis pe hai aaitabaar karna 
To is ki baaton pe be'niazi kay silsalay ikhtayaar karna 
Bata kay jaao keh ab rawiyon ki chaal kiya ho
Jo ab kiya ho , sawaal kiya ho 
Arooj kiya ho , zawaal kiya ho 

Nigah , rukhsaar , zulf , chehra , nidhaal kiya ho 

Bata kay jaao 

Keh meri haalat pe chandani khil'khila pari to
Main kiya karoon ga 
Bata kay jaao
Keh meri surat pe tairagi muskura pari to 
MAin kiya karoon ga 
Bata kay jaao keh tum ko kitna pukaarna hai 
Bichar kay tujh se yeh waqat kaisay guzaarna hai 
Ujaarna hai , nikhaarna hai 
Chalay jo ho to 
Bata kay jaao 
Keh loatna bhi hai .....? ya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...