Sep 14, 2014

Main ne chaha ussay bhool jaaon


Main ne chaha ussay bhool jaaon

Faramosh kar doon woh sab .. roz-o-shab

Ussay dekhon to hoon jaisay waqif nahin

MAin bhi us ki tarah

Ab kisi aur ko saath lay kar chalon

Her gharri khush rahoon , muskuraati phiron

Be'wajha , be'sabab

JAb hawa kay qadam misl-e-maynosh bay'dhab se parnay lagain

Chaandani khirkiyon se pukaaray , Nigahain chamaknay lagain

Aahatain kaan main sabz sargosiyaan kar kay dhalnay lahain

Dast-e-mousam kay aajaz se pera'han.. zard pattay badalnay lagain

Bhout khwaab'beeda gul aankh milnay lagain

Kaash uoon ho keh tab .. us ko dikhayon to woh ajnabi se lagain

US ki aahat pe khwaish kay gul na khilain

Woh pukaaray agar us ki awaaz par kaan tak na dharoon

Ehad-e-rafta ki her yaad ko bhool kar

Anay wali rutton ka sawagat karoon



Us kay chehray ko chehron ki anmbooh   main is tarah gum karoon

Phir woh aankhain rahain , na woh gaysu , na lab

MAin ne chah ussay bhool jaaon

Framosh kar doon woh sab

Roz-o-shab

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...