Sep 27, 2014

Manzilain dikha kar phir raaston main kho jaye


Zindagi ki marzi hai 

Jis taraf bhi lay jaye

Manzilain dikha kar phir

Raaston main kho jaye

Roshni dikha kar phir 

Tareekh ho jaye

Habs main jala kar phir

Khud bahaar ho jaye

Be'qaraar kar kay phir

Khud qaraar ho jaye

Her khushi thamma kar phir 

Ashkbaar ho jaye

Raabtay barha kay phir

Khud khafa yeh ho jaye

Be'wafa bana kay phir

Be'wafa khud ho jaye

Zindagi ki marzi hai 

Jis taraf bhi lay jaye

Manzalain dikha kay phir

Raaston main kho jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...