Sep 28, 2014

Meray dil meray musaafir


Meray dil meray musaafir

Hua phir se hukam saadir

Keh watan badar hon hum tum

Dain gali gali sadaein

Karain rukh nagar nagar ka

Keh suraagh koi payein

Kisi yaar-e-nama'bar ka

Her aik ajnabi se poochain

Jo pata tha apnay ghar ka

Sar-e-koo-e-nashiyaan

Hamain din se raat karna

Kabhi is se baat karna

Tumhain kiya kahoon keh kiya hai

Shab-e-gham buri balaa hai

Hamain yeh bhi tha ghaneemat

Jo koi shumaar hota

Hamain kiya bura tha marna

Agar ek baar hota

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...