Sep 24, 2014

Meray haathon main haath tumhara


Silsala wafa ka wahein se jorain gay jaana

Jahan se mor tum murr gayein thein 

Aftaab ki pehli kiran ko

Tanha tum chor gayein thein 

Kalaam-e-ishq kay 

Be'karaan tasalsul ko tum tor gayein thein 

Silsala wafa ka waheen se jorrain gay jaana 

Tumhari yaad hai woh 

Samandar ka kinaara 

Chaand tanha aur sitaara 

Meray haathon main haath tumhara 

Phir

Hathaili pe meri Ashk gira kar janaa tumhara 

Chalo ab kay december main jaana 

Jo zindagi ne ki wafa 

to

Silsala wafa ka waheen se jorain gay jaana 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...