Sep 13, 2014

Meri tanhai main khwaabon kay siwa kuch bhi nahin


Tum jab aayo gi to khoya hua paao gi mujhay 

Meri tanhai main khwaabon kay siwa kuch bhi nahin 

Meray kamray ko sajanay ki tamana hai tumhain 

Meray kamray main kitaabon kay siwa kuch bhi nahin 

In kitaabon ne baray zulam kiye hain mujh par 

In main ik Rmz hai jis Rmz ka maara hua zehan 

Mus'rada ishrat-e-anjaam nahin paa sakta 

Zindagi main kabhi araam nahin paa sakta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...