Sep 12, 2014

Mohabbat kab samjhti hai


Mohabbat kab samjhti hai

keh koi dasht-e-wehshat hai

Jo khawabon main bas aankhon ko

Janay kab kahan jhanjhor dalay ga

Mohabbat kab samjhti hai ?

KEh yeh jo saamp sa andar hi andar haampta hai

Saans leta hai

Na'janay kab kahan yeh kon si masoom khwaish ko

Youn hi bhan'bhor dalay ga

Mohabbat kab samjhti hai

keh yeh jo shafaaf rehtay hain

Dar-e-manzil pe ruktay hain

Thakhan tohfa nahin dain gay

Kahin bhatka nahin dain gay

Mohabbat kab samjhti hai

Keh in shafaaf raaston se

Koi dukh dard ki jaanib

Ussay na mor daalay ga

Mohabbat kab samjhti hai

Keh koi tor dalay ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...