Sep 23, 2014

Mohabbat naam hai tera



Suna hai log kehtay hain 

Yahan mohabbat naam hai tera 

Meri ruswai kay aagay 

Teri judai ka ghar hai 

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana

Yahan ashiyaan roz nahin bantay 

Youn hi tum loat jaatay ho

Kabhi wapis bhi aatay ho

Haan mujhay yaad aya ab 

Tum wapis bhi aatay ho

Magar jab chor jaatay hain 

Saray dost tumharay jab 

Tumhain sahara nahin milta 

Kisi kay saath ronay ka 

Phir tum loat aatay ho 

Mujhay bhi khoob statay ho

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana 

 

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...