Sep 6, 2014

Mohsin woh koi kaam bhi mujhay karnay nahin deta


Aankhon main koi khwaab utarnay nahin deta 
YEh dil keh mujhay chain se marnay nahin deta 

Bichray to ajab pyaar jataata hai khatton main 
Mil jaye to phir had se guzarnay nahin deta 

Woh shakhs khizaan rutt main bho mohtaat hai kitna 
Sookhay huye phoolon ko bikharnay nahin deta 

Ek roz teri pyaas khareeday ga woh ghabru
Paani tujhay panghat se jo bharnay nahin deta 

Woh dil main tabasum ki kiran gholnay wala 
Roothay to rutton ko bhi sanwarnay nahin deta 

Main us ko manaaon keh gham-e-dehar se uljhon 
Mohsin woh koi kaam bhi mujhay karnay nahin deta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...