Sep 11, 2014

Mujh ko aur kahin jaana tha


Mujh ko aur kahin jaana tha

bas youn hi rasta bhool gaya tha

Dekh kay teray dais ki rachna

Main ne safar moqoof kiya tha

Kaisi andheri shaam thi us din

Baadal bhi ghir kar chaya tha

Raat ki toofaani baarish main

Tu mujh se milnay aya tha

Maathay pe boondon kay moti

Aankhon main kajal hansta tha

Chaandi ka aik phool galay main

Haath main baadal ka tukra tha

Bheegay kapray ki lehron main

Kundan sona damak raha tha

Baarish ki tirchi galiyon main

Koi chragh liye phirta tha

Bheegi bheegi khamoshi main "Nasir"

Main teray ghar tak aya tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...